Health

Munh Ki Sehat Kay Liye 10 Ahem Tajawiz

By Team Htv

July 14, 2014

Achi sehat mand zindagi kay liye aap kay danton ka kirdar bohat zaroori hai. Eik sehat mand zindagi guzarnay kay liye zaroori hai kay app apnay danton, mashooron, aur zabaan ki safai ka khiyaal rakhein. Munh ke masle masail  jesay kay sanson mein badboo, danto mein cavity aur munh ka sookhna in sub beemariyon ka ilaaj mojod hai lekin agar hum sahi waqt pay tashkhees kerlein tu hamain in masail ka samna nahi kerna paray ga.

Sab say pehlay tambakhu noshi tark kerdein. Tambakhu noshi sabab banti hai sanson mein badboo kaya ur danton kay peelay pan ki waja sabit hoti. Tabaku noshi waja banti hai jabray ki haddi kay khatam honay kay  aur monh kay sartan ka sabab bhi baanti hai. Is kay ilawa tabaku noshi app kay mashooron ko shaded tareen nuqsaan pohahanay ka bais banti hai.

Koshish karein jub app ka bachay 6 mah ya us say baray honay lagay tu un ki munh ki safai ka khaas khiyaal rakha karain kiyo kay 6 mah kay bacho kay dant ana shroo hojatay hein aur agar hum un kay munh ki safai na rakhein tu un kay danton mien cavities ana shroo hojati hein. Koshish karein kay bachay ka munh eik gheelay kapray ya tu phir soft bursh say saaf karein. Jub app ka bacha 2 saal ka hojaye tu apnay bachay ko talqeen karein kay woh brush kareiy is kay ilawa dentist say baqaida muaina karayein jub who 6 saal kay hojayein khas kar kay peechay kay danto ka khiyaal rakhein.

Koshish karein kay app apnay dataon mein floride lagayein lekin bohat zayda nahi floride danto kay enamel ko mazboot banata hai jis say app kay dant lambay arsay tak rehtay hein koshish karein kay apnay dentist kay mashwaray say floride ka istemaal karein.

Daanto ko din mein do baar brush kiya karein koshish karein kay danto ka brush saal mein 3 say 4 baar tabdeel karein aur is baat ko yaqini banayein kay dant saaf kertay waqt app kay brush ka angle drust simth mein ho koshish karein kay electronic brush ka istemal na karein.

Khanay kay baad apnay daanto ko zaroor brush kiya karein is say app kay danto mein bacteria paida nahi hoga. is kay ilawa khaanay khanay aur brush kay baad eik sugar free chewing gum kha lein is say app kay munh mein thook ki miqdaar mein izafa hoga aur thook bacteria ko danton mein say saaaf karay ga.

Koshish karein kay jub app maidan mein ya khel kood karahay hon  ya koi aesa khel jis main app kay danto kay tootnay ka khatra ho tu apnay danto ki hifazat karein aur safety guard istemaal karein.

Koshish karein apnay liye behtareen khoorak ka intekhaab karein woh khooraak jis mein sabzi, phal, ghost. Machli waghera ka intekhaab krein, doodh piyein aur woh ghizayein khayein jis mien calcium ki miqdaar zayada ho.

Sansanatay mashroob jaisay kay cold drinks aur who meethi cheezain jin mein cheeni ka istamaal bohat kiya gaya ho apni khoraak mein kam istemaal karein ya phir tark kerdein kiyo kay cheeni app kay munh mein Janay kay baad taizab mein tabdeel hojati hai jis say app kay danto ko nuqsaan pohanchna shroo hojata hai aur app kay danto mein keera lagnay ki sub say bari waja yehi banti hai.

Har 6 mah baad apnay dentist say apnay munh kay muana zaroor karayein aur eik sehatmand bharpoor zindagi guzarein.

Akhir mein apni zabaan ko bhi saaf rakhein zabaan saaf kernay ka scrapper ata hai jis say app apni zabaan ko saaaf karein.